ek khali pari zamin jaise jazbaat hai koi
na barish ki boond hai na hariyali ki yakeen..
ek ruhaniyat hai aisi mayusi mein
mano ek kashish ho akelepan ka
bhool se hi sahi, aaj yaad aaya jo koyi
lafz sulagne lage aur nazam raakh baan gayi..
woh jazbaat banjar thi shayed
jo registhan ban gayi...
No comments:
Post a Comment