Tuesday, 2 July 2019

AajKal Meri udasiyan hairan si ho gayi hai
pata nahi, kaha Iska Dil aur kaha dimag hai..
tanhaiyan baksh do to khush jati hai,
bezuban hothon par khil jati hai,
jaise hawa me hai barish ki mahek,
jaise sason me hai ek saundhapan..
aajkal yuhi nam ho jati hai palke
aksar bhig jati hai dhadkan..
sawan ka mausam hai Shayad
ghataon se ulajh ke bikhar gayi hai hayraniyan,
warna bahut suljhisi hai Kalam ki aage kagaz par Meri udasiyan..

3 comments: